Sunday, July 31, 2011

Gaye Dinon Ka Suragh Le Kar, Kidher Se Aaya


Gaye Dinon Ka Suragh Le Kar, Kidher Se Aaya Kidher Gaya Wo,
Ajeeb Manoos Ajnabi Tha, Mujhe To Hairan Kar Gaya Wo,

Bas Ek Halki Jhalk Dikha Kar, Bus Ek Meethi See Dhun Suna Kar,
Sitara E Sham Ban Ke Aaya, Barang E Khewab E Sehar Gaya Wo,

Na Ab Wo Yadon Ka Charhta Drya, Na Fursaton Ki Udas Barkha,
Yunhi Zara Si Kasak Ha Dil Mein Jo Zakhm Gehra Tha Bhr Gaya Wo,

Shikasta Pa Rah Meinn Khara Hoon, Gaye Dinon Ko Bula Raha Hoon
Jo Qafla Mera Hamsafar Tha, Misal E Gard E Safar Gaya Wo,

Hawas Ki Bunyad Par Na Thehra Kisi Bhi Umeed Ka Gharonda,
Chali Zara Si Hawa Mukhalif,Ghubar Ban Ke Bikhar Gaya Wo,

Wo Hijar Ki Rat Ka Sitara,Wo Hamnafs Ham Sukhan Hamara,
Sada Rahe Us Ka Nam Pyara, Suna Hai Ke Rat Mar Gaya Wo,

Mera To Khon Ho Gya Ha Pani, Sitmgarun Ki Palak Na Bheegi
Jo Nala Utha Tha Rat Dil Se,Na Jane Kion Be Asar Gaya Wo,

Wo Jis Ke Shane Pe Hath Rakh Kar Safar Kiya Tu Ne Manzilon Ka
Teri Gali Se Na Jane Kion Aaj Sar Jhukae Guzar Gaya Wo,

Wo Rat Ka Benawa Musafir Wo Tera Shair,Wo Tera Nasir
Teri Gali Tak To Ham Ne Dekha,Phir Na Jane Kidhar Gaya Wo..

No comments:

Post a Comment

StatCounter