Tuesday, July 19, 2011

Kuch Is Taraha Usay Pyar Karna Parta Ha,

Kuch Is Taraha Usay Pyar Karna Parta Ha,
K Apnay Pyar Se Inkaar Karna Parta Ha,

Kabhi Kabhi To Wo Itna Qareeb Hota Ha,
K Apnay Ap Ko Deewar Karna Parta Ha,
...
Khuda Ne Us Ko Ataa Ki Ha Wo Masihai,
K Khud Ko Jaan K Beemaar Karna Parta Ha,

Wafa Ki Raah Me Dushwariyan To Aati Hain,
Wafa Ki Raah Ko Humwaar Karna Parta Ha,

Wo Haath Rakh K Mere Dil Pe Jab Pochta Ha Mohsin,
To Mujhe Dard Se B Inkaar Karna Parta Ha..............

No comments:

Post a Comment

StatCounter