Wednesday, July 20, 2011

Wafa Mein Ab Yeh Hunar Ikhtayaar Karna Hai,

Wafa Mein Ab Yeh Hunar Ikhtayaar Karna Hai,
Woh Sach Kahay Na Kahay Aitbaar Karna Hai,

Yeh Tujh Ko Jagtay Rehnay Ka Shouq Kab Se Huwa?
Mujhay Tow Khair Tera Intezaar Karna Hai,

Hawa Ki Zad Mein Jalanay Hein Ansouon K Chiraagh,
Kabhie Yeh Jashan Sir E Raahguzaar Karna Hai,

Woh Muskura K Naye Waswason Mein Daal Geya,
Khiyaal Tha K Ussay Sharmsaar Karna Hai,

Chalo Yeh Ashk Hi Mooti Samajh K Baich Ayen,
Kisi Tarah Tow Humein Roozgaar Karna Hai,

Khuda Khabar Yeh Koi Zid K Shouq Hai Mohsin,
Khud Apni Jaan K Dushman Se Piyaar Karna..!!

No comments:

Post a Comment

StatCounter