Saturday, July 23, 2011

Aabad Rahenge Veeraane, Shaadaab Rahengi Zanjeeren

Aabad Rahenge Veeraane, Shaadaab Rahengi Zanjeeren
Jab Tak Deewaane Zindaah Hain, Phuulengi Phalengi Zanjeeren
Aazaadi Kaa Darwaazaa Bhii Khud Hi Kholengi Zanzeeren
Tukre Tukre Ho Jaayengi Jab Hadd Se Barhengi Zanzeeren
Jab Sabke Lab Sil Jaayenge, Haathon Se Kalam Chhin Jaayenge
Baatil Se Lohaa Lene Kaa, Ailaan Kareingi Zanjeeren
Andhon Behron Ki Nagrii Mein Yuun Kaun Tawajjoh Kartaa Hai
Maahaul Sunegaa, Dekhegaa, Jis Waqt Bajengi Zanjeeren
Jo Zanjeeron Se Baahar Hain, Aazaad Unhen Bhi Mat Samjho
Jab Haath Katenge Zaalim Ke, Us Waqt Katengii Zanzeeren
Ye Taur Bhi Hain Sayyaadi Ke, Ye Dhang Bhi Hain Jallaadi Ke
Gar Aisaa Hi Maahul Rahaa,Phaileingi Badheingi Zanjeeren
Majbooron Ko Tarsaayengi, Yuun Aur Hamen Tarpaayengi
Zulfon Ki Yaad Dilaayeingi, Jab Lehraayengi Zanjeeren
Zanjeeren To Hat Jayengi, Haan, Inke Nishaan Rah Jayenge
Meraa Kyaa Hai, Zaalim, Tujhko Badnaam Karengi Zanjeeren
Le, De K Hafeez In Se Thiin, Ummiid-E-Wafaa Deewaanon Ko
Kyaa Hogaa Jab Deewaanon Se Naataa Torengi Zanjeeren

Hafeez Meeruti

No comments:

Post a Comment

StatCounter