Tuesday, July 19, 2011

Woh Ajnabi Anabi Se Chehray

Woh ajnabi ajnabi se chehray,woh khawab khaimay rawan dawan se
Basay hoay hain abhi nazar mein,sabhi manazir dhuwan dhuwan se

Yeh aks-e-dagh-e-shikast-e-paymaan​,wo rung-e-zakhm-e-khulos-e-yaraan
Main ghumgusaaroon mein sochta hoon,keh baat chheroon kahan kahan se

Ye sungraizay adawtoon ke,woh aabgenay sakhawtoon ke...!!
Dil-e-musafir qubool kar le, mila hai jo kuch jahan jahan se

Bichharrnay walay bichherr chala tha to nisbtain bhi ganwa ke jata
Teray liey shehr bhar se ab bhi main zakhm khaaon zubaan zubaan se

Meri mohabbat ke wehmoon se paray tha tera wujood warna..!!
Jahan jahan tera aks thera, main ho ke aya wahan wahan se

Tu humsafar hai na humnafas hai,kisay khabar hai keh tu kidhar hai
Main dastkain de ke pooch baitha makeen makeen se makan makan se

Abhi mohabbat ka ism-e-aazam laboon pe rehnay de jan-e-MOHSIN
Abhi hai chahat nai nai si, abhi hain jazbay jawan jawan se

No comments:

Post a Comment

StatCounter