Wednesday, July 20, 2011

Mere Myar E Takhayul Se Bhe Ooncha Nikla,

Mere Myar E Takhayul Se Bhe Ooncha Nikla,
Jis Ko Jhota Me Samjhta Tha Wo Sacha Nikla.

Me Mujassam Usey Samjha Usey Pana Chaha,
Aik Perchai Tha Wo Shakhs Bhe Saya Nikla.

Dunya Walo Ki Nazar Me To Bura Tha Lekin,
Me Ne Us Shakhs Ko Jancha To Wo Acha Nikla.

Maqtal E Jism Me Jis Ne Meri Gardan Mari,
Maqtal E Jaan Me Wo Hi Mera Sahara Nikla.

Apne Aangan Me Wo Bas Kaanch Ka Tukra Thehra,
Ghar Ki Dehleez K Us Paar Wo Heera Nikla.

Dil K Sikkey Ko Zarnaab Samjh Rakha Tha,
Aaj Bazar Me Rakha To Khota Nikla.

Hum Ne Aj Un Se Sar-E-Raah Shikayat Kr Li,
Chubh Raha Tha Jo Kai Din Se Wo Kanta Nikla.

Un K Aangan K Shajar Sary Hen Shadaab MOEEN,
Mere Aangan Ka Ye Ik Pair Bhe Sokha Nikla

No comments:

Post a Comment

StatCounter