Monday, May 24, 2010

RASTEY

Teri mohabbat ki reshmi dor thamay
Mohabbat ke pur peech raastoon par
Yeh kaisa mor aya hai logoh
Ke ab saans lena bhi tujh bin khatam hai
Khuda janay tu nay bhi socha hai aisa
Ya yeh sirf mere dil ki chubhan hai
Kisi aur ka haath thamoon kaise
Mere haath khuwaboon seh liptay huwey hain
Kisi aur ki baat manoon kaise
Tere baat charoon taraf goonjti hai mere
Kisi aur ka saath mangoon kaise
Har aik raastey pay tere naqsh-e-paa hain
Magar yeh qayamat bhi kuch kam hai kya.!
Safar aik hai aur rastay hain juda juda..!!!

No comments:

Post a Comment

StatCounter