daikh humari deed k karan kaisa qabil-e deed howa
aik sitara baithey baithey tabish main khursheed howa
aaj tu jaani rasta takte, shaam ka chaand padeed howa
tu nay tu inkaar kya tha, dill kab na-ummeed howa
aan k is bemaar ko dekhey, tujh ko bhi toufeeq hoi?
lub per us k naam tha tera, jab bhi dard shadeed howa
haan us nay jhalki dikhlaai, aik hi pal ko dareechey main
jaano ik bijli lehraai, aalam aik shaheed howa
tu nay hum sey kalam bhi chora, arz-e wafa k suntey hi
pehley koun qareeb tha hum sey, ab tu aur baeed howa
duniya k sab karaj chorey, naam pe terey Insha nay
aur isey kya thorey ghum thay? tera ghum mazeed howa
No comments:
Post a Comment