Tuesday, July 5, 2011

Darpaishe Koi Safar Nahin


Darpaish koi safar nahin
koi aashiyan koi ghar nahin


Mere hath main koi hath hai
go waazeha paikar nahin


Jo banain jamal-e-nighaah-e-dil
woh basaarton ke gohar nahin


kyon maan loon zindaa use………..
jo mareez-e-shauk-e-safar nahin


Jis ki hoon sadiyon se muntazir
use meri koi khabar nahin


Kya haqeeqat-e-harkat rahe
ye rukawatain hoon agar nahin

No comments:

Post a Comment

StatCounter