Saturday, July 9, 2011

Kabhi Jo Cher Gayee Yaad-E-Raftagaan Mohsin

Kabhi Jo Cher Gayee Yaad-E-Raftagaan Mohsin
Bikhar Gayee Hain Nigaahen Kahaan Kahaan Mohsin

Hawa Ne Raakh Urraaii To Dil Ko Yaad Aayaa
K Jal Bujheen Mere Khaabon Ki Bastiyaan Mohsin

Kuch Aaise Ghar Bhi Miley Jin Men Ghoongaton K Iwaz
Hui Hain Dafn Dopatton Men Larrkiyaan Mohsin

Khandar Hai Ahd-E-Guzishta Na Chhu Na Chher Isay
Khulen To Band Na Hon Is Ki Khirrkiyaan Mohsin

Bujha Hai Kaun Sitaaraa K Apni Aankh K Saath
Huey Hain Saare Manaazir Dhuaan Dhuaan Mohsin

Nahi K Us Ne Ganwaaye Hain Maah O Saal Apne
Tamaam Umr Kati Yuun Bhi Raaegaan Mohsin

Mila To Aur Bhi Taqseem Kar Gaya Mujh Ko
Sameitna Theen Jisay Meri Kirchiyaan Mohsin

Kahin Se Us Ne Bhi Tora Hai Khud Se Rabt-E-Wafa
Kahin Se Bhool Gaya Main Bhi Daastaan Mohsin

No comments:

Post a Comment

StatCounter