Saturday, September 24, 2011

Door Tak Chaey The Badal Aur Kahin Saaya Na Tha

Door Tak Chaey The Badal Aur Kahin Saaya Na Tha
Is Tarah Barsaat Ka Mausam Kabhi Aaya Na Tha

Kiya Mila Aakhir Tujhe Saayoun Ke Peeche Bhaag Kar
Ay Dil-E-Naadan Tujhe Kiya Hum Ne Samjhaya Na Tha

Uff Yah San'nata Ke Aahat Tak Na Ho Jis Main Mukhil
Zindgi Main Is Qadar Hum Ne Sukoon Paaya Na Tha

Khoob Roee Chup Ke Ghar Ki Chaar Deewari Main Hum
Haal-E-Dil Kehne Ke Qabil Koi Hum-Saaya Na Tha

Ab Khula Jhonkoun Ke Peeche Chal Rahi Thein Aandhiyaan
Ab Jo Manzar Hai Wo Pehle To Nazar Aaya Na Tha

Sirf Khushboo Ki Kaami Thi Gaur Ke Qabil "Qateel"
Warna Gulshan Main Koi Bhi Phool Murjhaya Na Tha.

No comments:

Post a Comment

StatCounter