Monday, September 26, 2011

Dhoop Ke Sath Gaya Sath Nibhane Wala

Dhoop Ke Sath Gaya Sath Nibhane Wala
Ab Kahan Ayega Wo Laut Ke Aane Wala

Ret Par Chhod Gaya Naqsh Hazaron Apne
Kisi Pagal Ki Tarah Naqsh Mitane Wala

Sabz Shakhen Kabhi Aise To Nahin Cheekhati Hain
Kaun Aaya Hai Parindon Ko Darane Wala

Ariz-E-Sham Ki Surkhi Ne Kiya Fash Use
Parda-E-Abr Mein Tha Aag Lagane Wala

Safar-E-Shab Ka Taqaza Hai Mere Sath Raho
Dasht Pur Houl Hai Toofan Hai Aane Wala

Mujh Ko Dar Parda Sunata Raha Qissa Apna
Agale Waqton Ki Hikayat Sunane Wala

Shabnami Ghas Ghanne Phool Larazti Kiranein
Kaun Aaya Hai Khazaon Ko Lutane Wala

Ab To Aaram Karein Sochtii Aankhein Meri
Raat Ka Akhiri Tara Bhi Hai Jane Wala

No comments:

Post a Comment

StatCounter