Thursday, September 29, 2011

Jinhen Main Dhundhta Tha Asmanon Mein Zaminon Mein

Jinhen Main Dhundhta Tha Asmanon Mein Zaminon Mein
Wo Nikle Mere Zulmat-E-Khana-E-Dil K Makinon Mein

Mahine Wasl K Ghariyon Ki Surat Urte Jate Hain
Magar Ghariyan Judai Ki Guzarti Hai Mahinon Mein

Mujhe Rokega Tu Ai Nakhuda Kya Garq Hone Se
K Jin Ko Dubna Hai Dub Jate Hain Safinon Mein

Jala Sakti Hai Sham-E-Kushta Ko Mauj-E-Nafas Un Ki
Ilahi Kya Chupa Hota Hai Ahal-E-Dil K Sinon Mein

Tamanna Dard-E-Dil Ki Ho To Kar Khidmat Faqiron Ki
Nahin Milta Ye Gauhar Badshahon K Khazinon Mein

Muhabbat K Liye Dil Dhundh Koi Tutnewala
Ye Wo Mai Hai Jise Rakhte Hain Nazuk Abginon Mein

Bura Samajhun Unhen Mujh Se To Aisa Ho Nahin Sakta
K Main Khud Bhi To Hun "Iqbal" Apne Nuktachinon Mein

No comments:

Post a Comment

StatCounter