Friday, September 23, 2011

Main Ne Jo Geet Tere Pyar Kee Khatir Likhe

Main Ne Jo Geet Tere Pyar Kee Khatir Likhe
Aaj Un Geeton Ko Bazar Mein Le Aya Hoon

Aaj Dukan Pe Neelam Uthega Un Ka
Too Ne Jin Geeton Pe Rakhi Thi Muhabbat Ki Asas

Aaj Chandi Ke Tarazu Mein Tulegi Har Chez
Mere Afakar Meri Shayari Mera Ehasas

Jo Teri Zaat Se Manasoob The Un Geeton Ko
Muflisi Jins Banane Pe Utar Aai Hai

Bhook Tere Rukh-E-Rangeen Ke Fasanon Ke Ewez
Chand Ashiya-E-Zaroorat Ki Tamanai Hai

Dekh Is Arsagah-E-Mehanat-O-Sarmaya Mein
Mere Naghmen Bhi Mere Paas Nahin Rah Sakate

Tere Jalwe Kisi Zaradar Ki Miras Sahi
Tere Khake Bhi Mere Paas Nahin Rah Sakate

Aaj Un Geeton Ko Bazar Mein Le Aayaa Hoon
Main Ne Jo Geet Tere Pyar Ki Khatir Likkhe

No comments:

Post a Comment

StatCounter