Friday, September 23, 2011

Chalo Ak Bar Phir Se Ajnabi Ban Jain Hum Dono

Chalo Ak Bar Phir Se Ajnabi Ban Jain Hum Dono
Na Me Tum Se Koi Umeed Rakhoon Dil Nawazi Ki
Na Tum Meri Taraf Daikho Ghalat Andaz Nazroom Se
Na Meray Dil Ki Dharkan Larkharaye Teri Batoon Se
Na Zahir Ho Tumhari Kashmakash Ka Raaz Nazroon Se

Tumhy Bhi Koi Uljhan Rokti He Paishqadmi Se
Mujhy Bhi Log Kehty Hain K Ye Jalway Paraye Hain
Meray Humra Bhi Ruswaian Hain Mery Mazi Ki
Tumharay Saath Bhi Guzri Hoi Ratoon K Saye Hain

Taaruf Rog Ban Jaye To Us Ko Bhoolna Behtar
Talluq Boajh Ban Jaye To Is Ko Torna Acha
Wo Afsana Jisay Anjam Tak Lana Na Ho Mumkin
Isay Ak Khubsoorat Mor Dekar Chorna Acha

No comments:

Post a Comment

StatCounter