Thursday, September 29, 2011

Jis Simt Bhi Dekhoon Nazar Aata Hai K Tum Ho

Jis Simt Bhi Dekhoon Nazar Aata Hai K Tum Ho 
Ae Jaan-E-Jahaan Ye Koi Tum Saa Hai K Tum Ho 

Yeh Khwaab Hai, Khushboo Hai, K Jhonka Hai, K Pal Hai 
Yeh Dhund Hai, Baadal Hai, K Saayaa Hai, K Tum Ho 

Is Deed Ki Saa'at Main Kaiiy Rang Hain Larzaan 
Mein Hoon Ke Koi Aur Hai Duniya Hai Ke Tum Ho 

Dekho Yeh Kisi Aur Ki Aankhain Hain K Meri 
Dekhoon Yeh Kisi Aur Ka Chehra Hai K Tum Ho 

Yeh Umr-E-Gurezaan Kahin Tahre To Yeh Jaanoon 
Har Saans Main Mujh Ko Yeh Lagta Hai K Tum Ho 

Har Bazm Main Mauzoo-E-Sukhan Dil Zadgaan Ka 
Ab Kaun Hai Shireen Hai Ke Laila Hai K Tum Ho 

Ik Dard Ka Phaila Hua Sahara Hai K Main Hoon 
Ik Mauj Main Aaya Hua Dariya Hai K Tum Ho 

Woh Waqt Na Aaye K Dil-E-Zaar Bhi Sochy 
Is Shehar Main Tanha Koi Hum Sa Hai K Tum Ho 

Ae Jaan-E-Faraz Itni Bhi Taufeeq Kisse Thi 
Hum Ko Ghum-E-Hasti Bhi Gawaara Hai K Tum Ho

Ahmed Faraz

No comments:

Post a Comment

StatCounter