Saturday, July 9, 2011

Aisay Na Thay Ham

Aisay na thy ham ehl e din itnay kahan kharab thy,
ham bhi kisi ki aas thy ham bhi kisi ka khwab thy,

ab jo huway hain khair se rand e khalq e sheher ham,
chehra e shab ka noor thy sheesha e fun ka aab thy,

dil pay kisi k naqsh thy surat e harf e arzu,
uski kitab e zeest main lieq e intesab thy,

Aisi thi wo rafaqatain, jesay ham apnay ap main,
rang e shuwae mhr thy raiz e aftaab thy,

wadoon ka aik sheher tha jis se guzar rahy thy ham,
ankhain khuli to door tak har su wohi sarab thy,

dil sa charagh kya bujha ankhain dhuwan dhuwan huin,
kehny ko apnay aas pas kitny hi aftaab thy...

No comments:

Post a Comment

StatCounter