Saturday, August 20, 2011

Abhi tu ishq mein aisa bhi haal hona hai


Abhi tu ishq mein aisa bhi haal hona hai
K ashk rokna tum sa mahaal hona haai
Har aik lab per hain mere wafaa k afsanay
Teray sitam ko abhi la-zawaal honaa hai
Tumhein khabar hi nahin,tum to lot jao ge,
Tuhare hijar mein aik lamha saal hona hai.
Humari rooh pe jab bhi azaab utrein ge,
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hai.
Kabhi to roye ga wo bhi kisi ki bahon mein,
Kabhi to uski hansi ko zawaal hona hai.
Mile gi hamko bhi apne naseeb ki khushiyan,
Bas intazar hai kab ye kamal hona hai.
Har ek shakhs chalay ga humari raahon par,
Muhabaton mein humain wo misaal hona hai.
Zamana jiske kham-o-paich mein ulajh jaye,
Humari zaat ko aisa sawal hon hai……..
Yaqeen hai mujh ko k wo lot aaye ga,
Usay bhi apne kiye ka malaal hona hai…

No comments:

Post a Comment

StatCounter