Wednesday, August 24, 2011

Main Nafraton Ki Gird Mein Dhansta Chala Gaya


Main Nafraton Ki Gird Mein Dhansta Chala Gaya
Najane Kidhar Pyaar Ka Rasta Chala Gaya
Ik Chand Chura Laya Tha Main Unki Jabeen Se
Woh Misr Ke Bazaar Mein Sasta Chala Gaya
Ik Hurf Tamanna Na Bana Apna Muaqaddar
Ik Sheher Aarzuon Ka Basta Chala Gaya
Aankho Se Dil Ki Pyaas Bujhaane K Bahane
Woh Chahaton Ki Aar Mei Dasta Chala Gaya
Woh Daag-E-Mohabbat Jo Mila Unke Karam Se
Woh Khoon-E-Dil Jo Zakhm Se Rusta Chala Gaya
Hai Pyaar Ik Fareb Yeh SUFI Ne Di Sada
Har Shakhs Iski Baat Pe Hansta Chala Gaya..

No comments:

Post a Comment

StatCounter