Wednesday, September 14, 2011

Tum Jo Hanste Ho To Phoolon Ki Sada Lagte Ho

Tum Jo Hanste Ho To Phoolon Ki Sada Lagte Ho
Aur Chalte Ho To Ik Bad E Saba Lagte Ho

Kuch Na Kehna Mere Kandhe Pe Jhuka Ke Sar Ko
Kitne Masoom Ho Tasveer E Wafa Lagte Ho

Bat Karte Ho To Sagar Se Chhanak Jate Hain
Eher Ka Geet Ho Koyal Ki Sada Lagte Ho

Kis Taraf Jao Ge Zulfon Ke Yeh Badal Le Kr
Aaj Machli Hui Sawan Ki Ghata Lagte Ho

Tum Jise Dekh Lo Peene Ki Zururzt Kia Hay
Zindagi Bhar Jo Rahe Aisa Nasha Lagte Ho

Main Ne Mehsoos Kia Tum Se Do Baten Ker K
Tum Zamane Main Zamane Se Juda Lagte Ho...

No comments:

Post a Comment

StatCounter