Friday, September 9, 2011

Khawab Toot Jatay Hain

Khawab Toot Jatay Hain
Bheer Main Zamanay Ki Hath
Choot Jatay Hain
Dostdar Lehjay Main Silwatain Si
Parti Hain
Ek Zara Si Ranjish Say
Shak Ki Zard Tehni Pay Phool
Badgumani K
Is Tarhan Say Khiltay Hain
Zindagi Say Pyaaray Bhi
Ajnabi Say Lagtay hain
Ghair Ban K Miltay Hain
Umar Bhar Ki Chahat Ko Asra
Nahin Milta
Khamoshi K Waqfon Main
Baat Toot Jati Hai
Aur Sira Nahin Milta
Ma'zirat K Lafzon Ki Roshni
Nahin Milti
Lazzat Pazeerai Ki Phir Kabhi
Nahin Milti
Phool Rang Wadoon Ki
Manzilain Sukartin Hain
Rah Murnay Lagti Hai
Berukhi K Gherai Say Bedili Ki
Mitti Say
Faslon Ki Eenton Say Eent
Jurnay Lagti Hai
Wehmon K Sai Say
Umar Bhar Ki Mehnat Ko Pal
Main Loot Jatay Hain
Ek Zara Si Ranjish Say Sath
Choot Jatay Hain
Bheer Main Zamanay Ki Hath
Choot Jatay Hain
Khawab Toot Jatay Hain
Khawab Toot Jatay Hain

No comments:

Post a Comment

StatCounter