Friday, September 16, 2011

Main Hans Ke Zakhm Sehta Hun Gila Kuch Bhi Nahi Karta

Main Hans Ke Zakhm Sehta Hun Gila Kuch Bhi Nahi Karta
Ke Shor-o-Ghul Machanay Se Mila Kuch Bhi Nahi Karta

Likha Hai Jo Muqaddar Me Wo Mil Hee Jaye Ga Mujh Ko
Bharosa RAB Pe Rakhta Hun Kaha Kuch Bhi Nahi Karta

Boht Nazuk Se Hotay Hain Muhabbat Ke Kharay Rishtay
Anaa Gar Aa Milay In Me, Bacha Kuch Bhi Nahi Karta

Pirota Hun Main Ashkon Se Tumhari Yaad Ki Maala
Bajuz Is Ke Main Khalwat Me Kia Kuch Bhi nahi Karta

Mujhay AHMAD Sikhaya Hai Ye Guzri Umr Ne Ab Tak
Agar Ho Khot Niyyat Me, Raha Kuch Bhi Nahi Karta

No comments:

Post a Comment

StatCounter