Sunday, September 11, 2011

Mujh Sa Na De Zamaane Ko Parvardigaar Dil

Mujh Sa Na De Zamaane Ko Parvardigaar Dil
Aashufta Dil, Fareefta Dil, Be-Qaraar Dil

Har Baar Maangti Hain Naya Chashm-E-Yaar Dil
Ik Dil Ko Kis Tarha Se Banaaun Hazaar Dil

Ye Said-Gaah-E-Ishq Hai, Thehraaiye Nigaah
Sayyaad-E-Muztarib Se Na Hoga Shikaar Dil

Karte Ho Erhd-E-Vasl To Itna Rahe Khayaal
Paimaan Se Zeyaada Hai Na-Paayedaar Dil

Taseer-E-Ishq Ye Hai, Tere Ehd-E-Husn Mein
Mitti Ka Bhi Banaayen To Ho Be-Qaraar Dil

Aalam Hua Tamaam, Raha Us Ko Shauq-E-Jor
Barsaaye Aasmaan Se Parvardigaar Dil

Pehle Pehel Ki Chaah Ka Kije Na Imtehaan
Aana To Seekh Le Abhi Do Chaar Baar Dil

Mash-Hoor Hain Sikandar O Jam Ki Nishaniyan
Aai Daagh Chor Jaayen Ge Ham Yaadgaar Dil

[Dagh Dalhvi]

No comments:

Post a Comment

StatCounter