Friday, September 9, 2011

Nahi Ishiq Mian Iska To Ranj Hamein

Nahi Ishiq Mian Iska To Ranj Hamein,K Qarar-O-Shakaib Zara Na Raha,
Gham-E-Ishiq To Apna Rafiq Raha Koi Aur Bala Se Raha Na Raha.

Na Thee Haal Ki Jab Hamein Apne Ki Khabar Rahe Dekhte Auron K Aeb-O-Hunar,
Paree Apni Burayiun Pe Jab Nazar To Nighah Main Koi Aur Bura Na Raha,

Diya Apni Khudi Ko Jo Hum Main Utha Wo Jo Parda Sa Beech Main Tha Na Raha,
Rahe Parde Main Ab Na Wo Parda Nasheen Koi Dosra Is K Siwa Na Raha.

"Zafar"Admi Usko Na Jaaniye Ga, Wo Ho Kesa He Sahib-O-Fahm-O-Zaka,
Jis Aesh Main Yaad-E-Khuda Na Rahi Jise Tesh Main Khof-E-Khuda Na Raha..

‎"Bahadur Shah Zafar"

No comments:

Post a Comment

StatCounter