Tuesday, September 6, 2011

Piya Baaj Pyala Piya Ja'ay Na

Mujhay Aisi Doori Ki Aadat Nahin Thi
Ke Jo Zindgi Ki Ragon Say
Jawan Khoon Ki
Aakhri Boond Takk Khainch Lay,
Jism Ka Khaet Banjar Karay,

Iss Li'ay Jabb Say Too
Uss Safar Parr Gaya
Main Nay Aaiyna Dekha Nahin,
Saari Dunya Say
Aur Aasman Takk Say Parda Kiya,

Main Nay Sardi Mein Dhoop
Aur Garmi Mein Sa'ay Ki Parwa Na Ki,
Zindgi Ko Na Samjha Kabhi Zindgi,
Aad'tann Saans Li!

Bhook To Marr Ga'ei Thi
Juda'ei Ki Pehli Hi Sa'att Mein
Lekin Abhi Pyaas Baaqi Hai
Aur Aisi Zalim, Ke Meray Badan Parr
Babool Ugg Rahay Hain,
Zuban Parr Bhi Kantay Paray Hain,

Mujhay Aisi Doori Ki Aadat Nahin Hai
Ke Jo Mot Aur Zindgi Mein
Ko'ei Farq Rehnay Na Day
Phirr Bhi Yeh Jaan Lay---
Garr Mujhay Chashma E Aab E Hewan
Bhi Mill Ja'ay--- Ikk Boond
Teray Bina, Mujh Pe Ja'yez Nahin!

Samina Raja

No comments:

Post a Comment

StatCounter