Saturday, September 3, 2011

Shamma Ki Tarha Yeh Shola Bhi Tha Ik Raat Ki Baat


Shamma Ki Tarha Yeh Shola Bhi Tha Ik Raat Ki Baat
Ab Khuli Ham Pay Teri Chashm-E-Mdaraat Ki Baat

Ham K Jis Baat Pay Tajj Aay Thay Saari Dunya
Teray Nazdeek Hamesha Woh Rahi Baat Ki Baat

Teray Altaaf Ki Barish Say Shraboor Tha Dil
Yaad Parti Hai Yeh Guzri Hoei Barsaat Ki Baat

Aankh Mein Jesay Kisi Khwab Nagar Ka Manzar
Hoant Par Us Kay Kisi Shehr-E-Tilismaat Ki Baat

Khud Framoshi Ki Ummid Pay Aa Bethay Thay
Chhaer Di Too Nay Bhi Aakhir,Wohi Halaat Ki Baat

Jesay Ik Umr Pay Chhaei Ho Syahi Iss Ki
Yeh Gham-E-Hijr Hai Kehnay Ko To Ik Raat Ki Baat 

Samina Raja

No comments:

Post a Comment

StatCounter