Friday, September 16, 2011

Usay Apna Farda Ki Fikar Thi Woh Jo Mera Waaqif E Haal Thaa

Usay Apna Farda Ki Fikar Thi Woh Jo Mera Waaqif E Haal Thaa
Jo Us Ki Subah E Urooj Thi Wohi Mera Waqt E Zawaal Thaa

Mera Darad Kese Woh Jaanta, Meri Baat Kese Woh Maanta 
Woh To Khud Fana Ke Safar Mien Thaa , Usay Rokna Muhaal Thaa

Kahan Jaao Ge Mujhe Chor Kar Mien Pooch Pooch Ke Thak Gaya 
Woh Jawab Mujh Ko Na De Saka, Woh To Khud Sarapa Sawaal Thaa

Woh Jo Us Ke Saamne Aagaya Wohi Roshni Mien Naha Gaya
Ajab Us Ki Heebat E Husan Thi, Ajab Us Ka Rang O Jamaal Thaa

Damm E Waapsi Usay Kiya Huwa Na Woh Roshni Na Woh Taazgi
Woh Sitara Kese Bikhar Gaya , Woh To Khud Aap Apni Misaal Thaa

Woh Mila To Sadioon Ke Baad Bhi, Mere Labb Pe Koi Gilaa Naa Thaa 
Usay Meri Chup Ne Rula Diya, Jise Guftgoo Mien Kamaal Thaa

No comments:

Post a Comment

StatCounter