Monday, August 1, 2011

Khuda Ham Ko Aisi Khudaai Na De

Khuda Ham Ko Aisi Khudaai Na De
Ki Apne Siva Kuch Dikhaai Na De

Khatavaar Samjhegi Duniya Tujhe
Ab Itni Bhi Zyada Safaai Na De

Hanso Aaj Itna Ki Is Shor Main
Sadaa Siskiyon Ki Sunaai Na De

Abhi To Badan Main Lahu Hai Bahut
Kalam Chin Le Roshnaai Na De

Mujhe Apni Chaadar Se Yun Dhaanp Lo
Zameen Aasman Kuch Dikhaai Na De

Gulaami Ko Barkat Samjhane Lagen
Asiron Ko Aisi Rihaai Na De

Mujhe Aisi Jannat Nahin Chaahe
Jahaan Se Madeena Dikhaai Na De

Main Ashkon Se Naam-E-Mohammad Likhoon
Qalam Chhin Le Raushnai Na De

Abhi To Badan Main Lahu Hai Bahut
Qalam Chhin Le Roshnai Na De

No comments:

Post a Comment

StatCounter