Thursday, August 4, 2011

Nigah-E-Yaar Pe Palkon Ki Gar Lagaam Na Ho

Nigah-E-Yaar Pe Palkon Ki Gar Lagaam Na Ho,
Badan Mein Door Talak Zindagi Ka Naam Na Ho...

Wo Be-Naqab Jo Phirta Hai Gali Koochon Mein,
To Kaisey Shehr K Logon Mein Qatl-E-Aam Na Ho...

Mujhe Yaqeen Hai K Duniya Mein Dard Barh Jain,
Agar Ye Peenay Pilanay Ka Ahtimaam Na Ho...

Bitha K Saamney Bas Dekhta Rahun Tujh Ko,
Tere Siwa Mujhy Duniya Ka Koi Kaam Na Ho...

Jo Us Ko Dekh Le Mehtaab Ik Nazar MOHSIN,
Mere Shehr Ki Fizaon Mein Kabi Sham Na Ho..

No comments:

Post a Comment

StatCounter