Saturday, August 13, 2011

Phool Ko Rang Sitaare Ko Ziyaa Kis Ne Di


Phool Ko Rang Sitaare Ko Ziyaa Kis Ne Di
Aye Gham-e-Dil Tere Honto Ko Nawa Kis Ne Di,

Jee Usay Dekh K Kiyoon Aaj Bhara Jaata Hai
Shula-e-Arz-e-Tamanna Ko Hawa Kis Ne Di,

Dil K Dariya Mein Giya Jo B Waheen Doob Giya
Yeh Magar Dehaan Ki Galiyon Se Sadaa Kis Ne Di,

Apni Hi SHakal Hai Jis Semat Nazar Parti Hai
Shaher-e-Aayena Mein Aankho Ko Saza Kis Ne Di,

Hu Bahu Uski Hi Awaaz Lagi Hai Mujh Ko
Waadi-e-Sang Mein "Amjad"Nidaa Kis Ne Di.

No comments:

Post a Comment

StatCounter