Saturday, August 6, 2011

Pyar Ki Raah Main Aisay Bhi Maqaam Aatay Hain

Pyar Ki Raah Main Aisay Bhi Maqaam Aatay Hain
Sirf Aansu Jahan Insaan K Kaam Atay Hain

Unki Aankhon Se Rakhay Kya Koi Umeed E Karam
Pyas Mitt Jaye To Gardish Main Wo Jaam Aatay Hain

Zindagi Ban K Wo Chaltay Hain Me'ri Saans K Sath
Un Ko Aisay Bhi Kai Tarz E Kharaam Aatay Hain

Hum Na Chahain To Kabhi Shaam K Saye Na Dhalain
Hum Tadptay Hain To Subhoon K Salam Aatay Hain

Qowwat E Dast E Talab Ka Nahin Jin Ko Idraak
Teray Dar Se Wohi Be Neel Maraam Aatay Hain

Munh Chupa Letay Hain Gham Hazrat E Nasaih Ki Tarha
Jab Bhi Maikhany Main Rindaan E Karaam Aatay Hain

Hum Pe Ho Jain Na Kuch Aur Bhi Ratain Bhari
Yaad Akser Wo Hamain Ab Sir E Shaam Aatay Hain

Chin Gaye Hum Se Jo Halaat Ki Rahoon Main Qateel!
Un Haseenon K Hamain Ab Bhi Payaam Aatay Hain.

No comments:

Post a Comment

StatCounter