Friday, September 9, 2011

Ab Ke Rut Badli To Khushboo Ka Safar Dekhay Gaa Kaun

Ab Ke Rut Badli To Khushboo Ka Safar Dekhay Gaa Kaun
Zakum Poolon Ki Tarah Mahkay Gay Per Deykhay Ga Kaun

Dekhna Sub Ruks-E Bismil May Magan Ho Jaaye Gay
Jis Taruf Se Teer Aaye Gaa Udhar Deykhay Ga Kaun

Zakhm Jitnay Bhi Thay Sub Mansoob Qaatil Se Huway
Tere Haathon Ke Nishaan Ai Chaara Ger Dekhay Ga Kaun

Woh Hawas Ho Ya Wafa Ho Baat Mehroomi Ki Hai
Log To Phul Phool Dekhay Gay Shajer Deykhay Ga Kaun

Meri Awaazo-N Ke Saaye Mare Baam-O-Der Pay Thay
Mare Lafzo-N May Utar Ker Mera Ghar Deykhay Ga Kaun

Hum Chiraag-E Shub Hi Jab Thehray To Phir Kiya Sochna
Raat Thi Kis Ka Muqadder Aur Saher Deykhay Ga Kaun

Aa Faseel-E Shaher Se Deykhay Ghneem-E Shaher Ko
Shaher Jaltaa Ho To Tujh Ko Baam Per Deykhay Ga Kaun

No comments:

Post a Comment

StatCounter