Friday, September 9, 2011

Suna Hoga ßuhat Tum Ne

Suna Hoga ßuhat Tum Ne 
Kahin Aankhon Ki Rim Jhim Ka
Kahin Palkon Ki Shabnam Ka
Parha Hoga ßuhat Tum Ne 
Kahin Lehjay Ki ßarish Ka
Kahin Sagar Ke Aansoo Ka
Magar Tum Ne Kabhi Humdam 
Kahin Daikhay? 
Kahin Parkhay?
Kisi Tehreer Ke Aansoo?
Mujhe Teri Judaai Ne
Yehi Mairaaj ßakhshi Hy
Ke My Ju Lafz Likhta Hoon 
Woh Saray Lafz Rotay Hyn
Ke My Ju Harf ßunta Hoon 
Woh Saray ßayan Kartay Hyn
Mere Sang iS Judaai My 
Mere Alfaz Martay Hyn
Sabhi Tareef Kartay Hyn 
Meri Tehreer Ki Lekin
Kabhi Koi Nahin Sunta 
Mere Alfaz Ki Siski
Falak ßhi Ju Hila Daalay 
Mere Lafzon My Hyn Shamil 
Usi Taseer Ke Aansoo 
Kabhi Daikho Mere Humdam 
Meri Tehreer Ke Aansoo..... 

No comments:

Post a Comment

StatCounter