Wednesday, September 21, 2011

Aa'enay Par Kabhe Kitaab Mein Hein

Aa'enay Par Kabhe Kitaab Mein Hein
Oss Ki Aankhein Ajab Azaab Mein Hain

Thaktay Phirtay Hein Dhoop Mein Bachchay
Tetliyaan Saaya E Gulaab Mein Hein

Aik Kachay Gharhay Ki Jurrat Par
Kitny Tughyaniyaan Chanaab Mein Hein

Woh Abhe Tak Hai Roob'ro Apnay
Ham Abhe Tak Hisaar E Khuwaab Mein Hai

Oss Ki Aadat Hai Roothna "Mohsin"
Log Be Wajah Izteraab Mein Hain

No comments:

Post a Comment

StatCounter