Wednesday, September 21, 2011

Shayad Main Zindegi Ki Sahar Leke Aa Gaya

Shayad Main Zindegi Ki Sahar Leke Aa Gaya
Qaatil Ko Aaj Apne Hi Ghar Leke Aa Gaya

Taa-Umr Dhundhtaa Raha Manzil Main Ishq Ki
Anjaam Ye Ki Gard-E-Safar Leke Aa Gaya

Nashtar Hai Mere Haath Main, Kaandhon Pe Maiqada
Lo Main Ilaaj-E-Dard-E-Jigar Leke Aa Gaya

‘Faakir’ Sanamkade Main Na Aata Main Lautakar
Ik Zakhm Bhar Gaya Tha Idhar Leke Aa Gaya

No comments:

Post a Comment

StatCounter