Wednesday, September 21, 2011

Main Ye Kis Ke Naam Likhoon Jo Alam Guzar Rahay Hain

Main Ye Kis Ke Naam Likhoon Jo Alam Guzar Rahay Hain
Meray Shehar Jal Rahay Hain, Meray Log Mar Rahay Hain

Koi Guncha Ho Ke Gul Ho, Koi Shaakh Ho Shajar Ho
Wo Hawaa-E-Gulstaan Hai Ke Sabhi Bikhar Rahay Hain

Kabhi Rehmatain Thi Nazil Issi Khita-E-Zamee'n Par
Wohi Khitta-E-Zamee'n Hai Ke Azaab Utar Rahay Hain

Wohi Taairo'n Ke Jhurmut Jo Hawa Main Jhooltay Thay
Wo Fizaa Ko Dekhtay Hain To Ab Aah Bhar Rahay Hain

Bari Aarzoo Thi Humko Naye Khwaab Dekhnay Ki
So Ab Apni Zindagi Main Nay Kwhaab Bhar Rahay Hain

Koii Aur To Nahi Hai Pas-E-Khanjar Aazmaai
Hamee Qatal Ho Rahay Hain, Hamee Qatal Ker Rahay Hain

No comments:

Post a Comment

StatCounter