Saturday, September 17, 2011

Hay Duaa Yaad Magar Harf E Duaa Yaad Nahii

Hay Duaa Yaad Magar Harf E Duaa Yaad Nahii
Meray Nagmat Ko Andaz E Nawa Yaad Nahi

Main Nay Palkon Say Dar E Yaar Pe Dastak Di Hay
Main Woh Sayil Hon Jisay Koi Sadaa Yaad Nahii

Main Nay Jin Kay Liyay Rahon Me Bichhaya Tha Lahoo
Ham Say Kehtay Hen Wohi, Ehd E Wafaa Yaad Nahii

Kaisay Bhar Aaien Sar E Sham Kisi Ki Aankhen
Kaisay Tharraai Chiragon Ki Ziaa Yaad Nahii

Sirf Dhundlaay Howay Sitaron Ki Chamak Dekhi Hay
Kab Howa, Kaon Howa Kis Say Juda Yaad Nahii

Zindagi Jabr E Musalsal Ki Tarah Kati Hay
Janay Kis Jurm Ki Paai Hay Saza Yaad Nahii

Aao Ek Sajda Karen Aalam E Madhoshi Me
Log Kehtay Hen Keh Saghar Ko Khuda Yaad Nahii

No comments:

Post a Comment

StatCounter