Wednesday, December 1, 2010

chaNd roz aur meri jaan faqat chaNd hi roz...!!!

chaNd roz aur meri jaan faqat chaNd hi roz
zulm ki cHaauuN meN dam lene par majbuur haiN ham
aur kucH der sitam saih leN, taRap leN ro leN
apne ajdaad ki miiraas hai maazuur haiN ham
jism par qaid hai jazbaat pe zaNjiireN haiN
fikr mehbuus hai guftaar pe taaziireN haiN
aur apni himmat hai keh ham phir bhi jiye jaate haiN
zindagi keyaa kisi muflis ki qabaa hai jis meN
har ghaRi dard ke paiwaNd lage jaate haiN

lekin ab zulm ki meyaad ke din thoRe haiN
ik zaraa sabr keh fariyaad ke din thoRe haiN
arsaa-e-dahar ki jhulsi hui wiiraani meN
ham ko rehnaa hai par yuuN hi to nahiN rehnaa hai
ajnabi haathoN kaa benaam garaaN-baar sitam
aaj sehnaa hai hameshaa to nahiN sehnaa hai
yeh tere husn se lipTi hui aalaam ki gard
apni do rozaa jawaani ki shikastoN kaa shumaar
chaaNdani raatoN kaa bekaar dehaktaa huwaa dard
dil ki besuud taRap jism ki maayuus pukaar
chaNd roz aur meri jaan faqat chaNd hi roz

*********************************

No comments:

Post a Comment

StatCounter