apni dhun main rahta hun
main bhi tere jaisa hun
o pichli rut k sathi
ab k baras main tanha hun
teri gali main sara din
dukh k kankar chunta hun
mujh se ankh milaye kaun
main tera aina hun
mera diya jalaye kaun
main tera khali kamra hun
tu jiwan ki bhari gali
main jangal ka rasta hun
apni lahar hai apna rog
dariya hun aur pyasa hun
ati rut mujhe royegi
jati rut ka jhonka hun
Nasir Kazmi
No comments:
Post a Comment