Wednesday, December 1, 2010

Jaane wale nahee laut'tay ummer bhar

Ay dil-e-bekhabar
Jo hawa ja chuki ab nahee aayegi
Jo shajjar toot jaata hai phalta nahee
Waapsi mausamoon ka muqaddar tu hai
Jo samaan beet jaaye palat'ta nahee
Jane walay nahee laut'tay umar bhar
Ab kissay dhoondta hai sar-e-rehguzar
Ay dil-e-kam nazar, ay mere bekhabar, ay mere hamsafar
Woh tu khushboo thaa aglay nagar ja chuka
Chaandi thaa huwa sarf-e-rang-e-qamar
Khwaab thaa aankh khultay hi oujhal huwa
Pair thaa rutt badaltay huwa be-sammar
Ay dil-e-assar, ay mere chaaragar
Yeh hai kis ko khabar
Kab hawa-e-safar ka ishaara milay
Kab khullain sahiloon per safeenoo ke par
Kaun jaane kahaan manzil-e-mauj hai
Kis jazeeray per hai Uss ka ghar, ay mere charagar
Ay dil-e-bekhabar kam-nazar mu'tabar
Tu ke muddat se hai zaer-e-baar-e-safar
Beqaraar-e-safar
Aas ke be-samar mausamoon ki tarah
Be-jahat munziloon ki musaafit mein hai
Raasta bhoolay huwe rehruwoon ki tarah
Choob-e-naar-e-safar
Etabaar-e-nazar, etabaar-e-nazar kis gumaan per karain
Ay dil-e-bebasar
Yeh tu sahil pe bhi dekhti hai bhanwar
Rait mein kisht karti hai aab-e-baqah
Kholti hai hawaoon mein baab-e-assar
Tujh ko rakhti hai yeh zaeb-e-daar-e-safar beqarar-e-safar
Ay dil-e-be-hunnar
Garam sansoon ki woh khushbooain bhool ja...
Woh cheekhti huwi dharkanain bhool ja...
Bhool ja naram hontoo ki shadaabeyaan...
Harf-e-iqraar ki lazzattain bhool ja...
Bhool ja woh hawa, bhool ja woh nagar
Kaun jane kahaan roshni khoo gaee
Lutt gaya hai kahaan karwaan-e-sehar
Ab kahaan gesoowoon ke woh saaye, kahaan
Us ki aahat se chamkay huwe baam-o-dar, ay dil-e-bebasar
Rang-e-aasodgi ke tamashe kahaan
Jhatpatta hai yahaan rehguzar rehguzar
Woh tu khushboo thaa aglay nagar ja chuka
Ab kissay dhondta hai array be-khabar
Jaane wale nahee laut'tay ummer bhar
Ay dil-e-kamnazar, ay mere chaaragar, ay mere hamsafar...

No comments:

Post a Comment

StatCounter