Wednesday, December 1, 2010

zara si baat

zindagi k mailay main,khawahishoun k railay main
tum se kiya kahain janaa, is qadar jhamelay main
waqt ki rawani hay,bakht ki girani hay
sakht be zamini hay, sakht lamakani hay
hijer k samundar main
takht or takhtay ki ik he kahani hay
tum ko jo sunani hay
baat to zara si hay
baat umer bhar ki hay
or umer bhar ki baatain kab do ghari main hoti hain!
dard k samundar main
un ginat jazeeray hain, be shumaar moti hain
aankh k darechay main tum ne jo sajaya tha
baat us diye ki hay
baat us gilay ki hay
jo lahoo ki khilwat main chour ban k aata hay
lafz ki faseeloun par toot toot jata hay
zindagi se lambi hay,baat ratjagay ki hay
raastay main kaise ho!
baat takhliye ki hay
takhliye ki baatoun main guftugo ezafi hay
pyaar karnay waloun ko ik nigha he kafi hay
ho sakay to sun jao ik din akailay main
tum se kya kahain janaa is qadar jhamailay main....!!!

No comments:

Post a Comment

StatCounter