Muhabbat harf-e-awwal hai
Muhabbat harf-e-aakhir hai
yea hai ik aisa jazba jo
zahoor apney mai maahir hai
zamanay mai udaasi bhi
muhabbat baant sakti hai
kisi k dil se nafrat ko
muhabbat chaant saktii hai
muhabbat ba-wafa bhi hai
muhabbat dil’rubaa bhi hai
muhabbat kernay walon ko
muhabbat sey gilaa bhi hai
muhabbat mai jo hotey hain
gillay, wo sab muhababt hai
lagan , chahat , wafa’daari
yea saray dhab(tareekay) muhababt hain
muhabbat aaan jaisi hai
muhabbat maaan jaisi hai
muhabbat phool jaisi hai
muhabbat jaan jaisi hai
muhabbat jaan leti hai
muhabbat jaan deti hai
muhabbat sarfroshi ko
hamesha maan leti hai
muhabbat aik tabassum hai
jo pholon main bhi khilta hai
kabhi titlii k pankhon mai
kabhi mamtaa mai milta hai
muhabbat saans leti hai
muhabbat dekh saktii hai
muhabbat saath chalti hai
muhabbat rahh badalti hai
kisi ki shaadmaani ko
muhabbat soch saktii hai
yea saari zindagaani k
ghamon ko nooch saktii hai
muhabbat ik nageena hai
yea jeenay ka qreena hai
kabhi jo doob na payee
muhabbat wo safeena hai
jahaan k sab mazaahib main
muhababt ka taqaddas hai
yehi insaan k jazboon mai
ataa’a sab se muqaddas hai
muhababt ka yea jazba ab
baraa pamaal hota hai
yea jis k dil mai bas jayee
bohat behaal hota hai
muhabbat kal b hotii thi
muhabbat aaj bhi hotii hai
magar apney muqaddar per
muhababt aaj bhi rotii hai
No comments:
Post a Comment