usy kehna
kabhi milny chala aay
hamary paaon main jo rasta tha
rasty main peyr thy
peroon pey jitni taaeyroon ki tooliyaan
ham sey mila karti thiin
ab wo urty urty thak gai hain
wo ghani shakhain jo ham pey saya karti thiin
wo sab murjha gai hain
tum usy kehna
kabhi milny cahala aay
laboon pey lafz hain
lafzoon main koi dastaan ,qissa, kahan
jo aksar usy sunaaty thy
kisy ja kar sunaain gey
batain gy
key ham mehraab e abroo main sitary takny waly
dar e lab bosa e izhaar ki dastak sey aksar kholny waly
kabhi bikhri hoi zulfoon main ham
mehtaab k gajrey bana kar bandhny waly
chaargh or aainey k darmiyaan
kab sey sar e sahil khary moujoon ko takty hain
usy kehna
usy ham yaad karty hain
usy kehna
ham aa kar khud usy milty
magar maqtal badalty mousmoun ky khoon main rangiin hain
owr ham
qatar andar qatar aysy buhut sey mousamoon
ky darmiyaan
tanha khry hain
jany kab apna bulawa ho
key ham main aaj bhi
aik umr ki waraftagi or wehshatoon ka raqs jari hy
wo bazi jo bisaat e jaan pey khyli thi
abhi ham ny na jeeti hy na hari hy
usy kehna
kabhi milny chala aay
key ab ki baar shayad
apni baari hy
No comments:
Post a Comment