Wednesday, December 1, 2010

Main our meri aavaargi

Phirte hain kab se dar_ba_dar ab is nagar ab us nagar
Ek doosre ke hamsafar main aur meri aavaaragi
Na aashana har reh_guzar naa meharbaan hai ek nazar
Jaayen to ab jaayen kidhar main aur meri aavaaragi

Hum bhi kabhi aabaad the aise kahaan barbaad the
Bifikr the aazaad the masroor the dilshaad the
Vo chaal aisi chal gaya ham bujh gaye dil jal gaya
Nikle jala ke apna ghar main aur meri aavaaragi

Vo maah-e-vash vo maah-e-rooh vo maah-e-kaamil huu_ba_huu
Thi jis ki baatein kuu_ba_kuu us se ajab thi guftagu
Phir youn hua vo kho gai aur mujh ko zid si ho gai
Laayenge us ko Dhoond kar main aur meri aavaaragi

Ye dil hi tha jo seh gaya vo baat aisi keh gaya
Kehne ko phir kya reh gaya ashkon ka dariya beh gaya
Jab keh kar vo dilbar gaya tere liye main mar gaya
Rote hain us ko raat bhar main aur meri aavaaragi

Ab Ghum uthaayen kis liye ye dil jalaayen kis liye
Aansoo bahaayen kis liye youN jaan gavaayen kis liye
Pesha na ho jis ka sitam Dhoondenge ab aisa sanam
Honge kahin to kaar_gar main aur meri aavaaragi

Aasaar hain sab khoT ke imkaan hain sab *** ke
Ghar band hain sab ghot ke ab khatam hain sab totake.
Qismat ka sab ye khel hai andher hai andher hai
Aise hue hain be_asar main aur meri aavaaragi

Jab ham_dam-o-ham_raaz tha tab aur hi andaaz tha
Ab soz hai tab saaz tha ab sharm hai tab naaz tha
Ab mujh se ho to ho bhi kya hai saath vo to vo bhi kya
Ek behunar ek besabar main aur meri aavaaragi. 

***********************************

No comments:

Post a Comment

StatCounter