Wednesday, December 1, 2010

"suno"

jab barish barsa karti hai,
or
har soo pani hota hai,
hum apne ghar k aangan main,
amar beal k saye main,
boondon ko dekha karte hain,
or
tum ko socha karte hain,
"suno"

jab raat syah ho jahti hai,
or
chandni phela karti hai,
hum apne ghar ki chat pe ,
taron ko dekha karte hain,
tum ko socha karte hain,
tum ko socha karte hain.

No comments:

Post a Comment

StatCounter