Vo he gardishain vo he paich-o-kham teray baad bhi
Vo he hauslay meray dam ba-dam teray baad bhi
Teray saath bhi teri her jafa mujhay moetabar
Teray saaray gham mujhay muhtaram teray baad bhi
Teray gham se hai meri her khushi mein waqaar sa
Meray haal pe hain teray karam teray baad bhi
Baray muztarib meray raastay teray bina
Baray pur-sukoo.n meray qadam teray baad bhi
Teray saath thee meri her khushi teri muntazir
Teri muntazir meri chashm-e-num teray baad bhi
Teray saath thee meri dastaras mein jo raushni
Faqat aik pal kabhi subha-dum teray baad bhi
Tujhay jaan-e-gham jo kaha kabhi to ghalat kaha
Meri zindagi ke javaa.n hain gham teray baad bhi
Tujhay paas-e-ehd-e-vafa raha mere saath kab
Mujhay jaa.n se barh ker teray bharam teray baad bhi
Meray baad kitnay he roop tu nay badal liye
Main vahi hoon ab bhi teri qasam teray baad bhi
Tu kisi ke qalb-e-aarzu mein to dhal gayi
Main na ho saka kabhi khud mein gum teray baad bhi
Teri aahaton ka gudaaz tha mera humsafar
Yehi ik gumaa.n mera hum-qadam teray baad bhi
Tu chali gayi sabhi qehqahay samait ker
Meray paas hai mera zarf-e-gham teray baad bhi
*************************************
No comments:
Post a Comment