Wednesday, December 1, 2010

Ankh ban Jati hai sawan ki ghata sham kai baad

Ankh ban Jati hai sawan ki ghata sham kai baad
Laut jata hai ager koi khafa sham kai baad

Wo jo TaL jati rahi saR sai bala sham kai baad
Koi to tha kai jo daita tha Dua sham kai baad

AhHain Bhrati hai shab-e-HijjaR YateemOOn ki tarah
Sard ho jati hai her Roz hawa sham kai baad

Sham tak Qaid raha kartay hain DiL kai ander
Derd ho jatay hain Saray Hi reha sham kai baad

Log thak haar kai so jatay hain Lakin JanaaN
Hum nai khush ho kai saha taira Derd sham kai baad

Sham sai pahlai Talak Lakh SulaiEEy rekhain
JaG uthati hai mohabbat ki Anna Sham kai baad

Khawab TaKra kai Palat jatay hain Band ankhoon sai
Janay kis Juram ki kis ko hai saza sham kai baad

Hum nai Tanhai sai poocha keh MiLo gi kaab Tak
Uss nai bay chaini sai foran hi kaha sham kai baad

Main ager khush bhi rahon phir bhi mairay seenai main
SOGwaaari koi rooti hai sadaa shaaaaam kai baad

Tum gaEEy ho to siyaa rang kai kapray pehnay
Phirti rehti hai mairay ghar main Qaza sham kai baad

Laut aati hai mairi shab ki eBaDat Khali HaaTh
Janai kis ARSH pai rehta hai khuda sham kai baad

Din Ajab mothi main Jakray hoay rekhta hai mujhay
Mujh ko iss baat ka ahsaas hoa sham kai baad

Koi bhoola hoa gham hai jo Musalasal Mujh ko
DiL kai pataL sai daita hai Sada sham kai baad

Mar daita hai UjaR janai ka DuHra Ahsaas
Kash ho Koi kissi sai na Juda sham kai baad....



Farhat Abaas Shah

No comments:

Post a Comment

StatCounter